Friday, April 3, 2015

Jumu’a Ke Masail, Fazail, Jumu’a Ke Fazail, Khutba Ke Masail:




Kindly Click Here For Educational Videos

Jumu’a KeMasail

1- Aap (SAWS) ne farmaya:-” jiska allah aur aakhirat par imaan hai us par Jumu’a farz hai, mareez, musaafir, na-baaligh ladka aur ghulaam Jumu’a ki farziyat se bahar hain (agar chaahen to padh len warna Zohar ki namaz ada karen)

(Abu Dawoodabwabul Jumu’a 1067, imam nawawi ne sahih kaha hai)

2- Aap (SAWS) ne farmaya:-” jo shakhs Jumu’a ke din khoob acchi tarah nahaaye aur paidal(masjid me) jaaye, imam ke nazdeek Hokar dil lagakar khutba sune aur koi bekaar baat na kare to usko har qadam par ek saal ke roze aur uski raaton ke qayaam ka sawaab hoga”

(Tirmizi, al Jumu’a 495, Abu Dawoodtaharat 345, ibne habban 559, haakim 1/281-282)

Hazrath salman farsi ra se riwayat hai ki, Aap (SAWS) nefarmaya:- jo shakhs Jumu’a ke din nahaaye aur jis qadar paaki haasil ho sake kare,( muchen katraaye, naakun kataaye, zere naaf baal kaate, aur bagalon ke baal door kare etc) phir tail(oil) ya apne ghar se khusbu lagaaye aur (Jumu’a ke liye) masjid ko jaaye,(wahan) do aadmiyon ke beech raasta na banaaye( balki jahan jagah mile baith jaaye) phir apne muqaddar ki namaz padhe, phir dauraan e khutba khaamosh rahe to uske pichle Jumu’a se lekar is Jumu’a tak ke gunah maaf kar diye jaate hain”

(Bukhari al Jumu’a 883,910)

Aap (SAWS) ne farmaya:-” jo shakhs ghusl karke Jumu’a ke liye aata hai aur khutba shuru hone tak jitna ho sake nawafil ada karta hai , phir khutbaa e Jumu’a shuru se aakhir tak sunta hai to uske pichle Jumu’a se lekar is Jumu’a tak aur zyada 3 din ke gunah maaf kar diye jaate hain”

(Muslim al Jumu’a 857)

3- Hazrath abdullah bin abbas ra farmate hain:-” masjide nabwi ke baad jo sabse pahla Jumu’a padhaya gaya wah bahreen ke gaao(village) juwaasa me abdul qais ki masjid me tha”
(Bukhari al Jumu’a 892,4371)

Isse saabit huwa ki gaaon me bhi Jumu’a padhna zaroori hai agar log gaaon me Jumu’a nahi padhenge to gunaagaar honge

Hazrath Asad ain zaraara ra ne ” naqi ul khazmaat” ke ilaaqe me banu bayaaza ki basti ” hazmun nabeet”( jo madeena se 1 meel ke faasle par thi) me Jumu’a ka qayam kiya”

(Abu Dawoodal Jumu’a 1069, haakim 1/281, ibne khuzaima 1724)

“Hazrath abdullah bin umar ra makka aur madeena ke beech basne waale logon ko Jumu’a padhte dekhte to koi aitraaz na karte”

(Abdur Razzaq 3/170, hafiz ibne hajar ne sahih kaha hai)

4- Hunain ke din baarish ho Rahi thi to Aap (SAWS) neapne munaadi huqm diya:- aaj apni, apni qayaamgaahon me namaz padhne ka elaan kar do, aur wah Jumu’a ka din tha”

(Abu Dawoodal Jumu’a 1057,1059, haakim 1/293, ibne khuzaima 1863, ibne habban 439-440)

malum huwa ki baarish ke din Jumu’a ki namaz padhni wajib nahi, yani agar baarish ke din Jumu’a padh liya jaaye to jaayez hai aur baarish ki wajah se agar Jumu’a chhod kar Zohar padh li jaaye to Jumu’a chhodne ka gunaah nahi hoga

5- Hazrath abu hurairah ra se riwayat hai ki NABI akram(SAWS)ne farmaya:- aaj ke din do eiden(eid aur Jumu’a) ikatthi ho gayi hain, jo shakhs sirf eid padhna chahe to use wah kaafi hai, lekin ham (eid aur Jumu’a) dono padhenge”

(Abu Dawoodal Jumu’a 1070-1071, 1073)

Hazrath abdullah bin zubair ra ke daur me Jumu’a ke din eid hui, to unhone namaz eid padhai Jumu’a na padhaya, is waqeye ki khabar ibne abbas ra ko mili to unhone farmaya:-” unka yah amal sunnat ke mutabik hai”

( Nisaai salatul eidain 1593, imam ibne khuzaima ne sahih kaha hai)

6- Aap (SAWS) nefarmaya:-” agar gunjaish ho to Jumu’a ke liye rozaana istemaal hone waale kapdon ke elawa kapne banaao”

( Ibne Maja’a, iqamatis salaat 1095-1096,)

7- NABI (SAWS) ne dauraan e khutba ghoot maarkar baithne se mana farmaya

(Tirmizi al Jumu’a 513, imam Tirmizi ne hasan kaha hai)

goot maarna us tarah baithne ko kahte hain ki haath ya kapde ke saath raanon ko pet se milaakar baithen, is tarah baithne se aam taur par neend aa jaati hai, phir aadmi khutba nahi sun sakta, iske elawa is haalat me aadmi aksar gir padhta hai (aur sharmgaah ke be hijaab hone ki gunjaaish hoti hai)

8-Hazrath jaabin bin samurra ra se riwayat hai ki Aap(SAWS)khade hokar khutba dete aur do khutbon ke beech baithte, jo shakhs yah kahe ki Aap baithkar khutba dete they usne ghalat bayan kiya”

(Muslim al Jumu’a 862)

9- Hazrath kaab bin ujra ra se riwayat hai ki Wah masjid me daakhil hue aur abdurrahman bin ummul hakam baithe hue khutba de rahe they, Hazrath kaab ra ne kaha:-” is khabees ki taraf dekho, baithe huwe khutba deta hai, jabki allah taala farmata hai:- aur jab ye log koi sauda bikta hai ya ko tamasha dekhte hain to uski taraf bhaag uthte hain aur Aapko(khutbe me) khaada ki chhod dete hai(al Jumu’a 11)

(Muslim al Jumu’a 864)

malum huwa ki baithkar khutba dena khilaaf e sunnat hai
Aap (SAWS) neJumu’a ka khutba diya, Aapke sar par siyaah rang ki pagdi thi, uske dono sire Aap ne kandhon ke beech chhode hue they”

(Muslim al hajj 1359)

10- Aap (SAWS) neJumu’a ke din masjid me namaz e Jumu’a se pahle halqa banaane se mana farmaya”
(Abu Dawoodal Jumu’a 1079, Tirmizi salaat 322, waqaal hadith hasan, imam ibne khuzaima (1816) ne ise sahih kaha hai)
isliye jo ulama Jumu’a se pahle taqreer karte hain unhe is amal ko tarq kar dena chahiye

11- Hazrath anas ra kahte hain ki Aap(SAWS)shiddat ki sardi(cold) me Jumu’a ki namaz subah padhte they, aur shiddat ke garmi me der se padhte they”

(Bukhari al Jumu’a 906)

12- Hazrath Jaabir ra kahte hain ki jab Aap(SAWS)khutba irshad farmate to Aapki aankhen shurkh ho jaati, aawaaz buland hoti aur josh me aa jaate they, maano ki Aap hamen kisi lashkar se dara rahen hain jo subah ya shaam par hamla karne waala hai aur farmate:-” main aur qayamat saath saath is tarah bheje gaye hain” Aap apne shahadat ki aur beech ki ungaliyon ko milaate”

(Muslim al Jumu’a 867)

13- NABI (SAWS)ne farmaya:- “(imam ke saath) jitni namaz mile wah padho aur jo rah jaaye use poora karo”

(Muslim al masjidon 602)

is hadith ki ru se namaz e Jumu’a ki dusri rakat ke sazda ya tashahhud ko paane waala( salaam phirne ke baad uthkar) do rakaten ki padhega(4 nahi) kyonki uski chhooti hui namaz do rakatein hain 4 rakatein nahi.

Khutba Ke Masail:

1- Aap(SAWS)do khutbe irshaad farmate, unke beech baithte , khutba me quran majeed padhte aur logon ko nasihat karte, Aap(SAWS)ki namaz bhi ausat(average) darje ki aur kutba bhi ausat(average) darje ka hota tha”

(Muslim al Jumu’a 866)

Aapne farmaya ki:-” aadmi ki lambi namaz aur mukhtasar khutba aqalmandi ki alaamat hai to namaz( aam namazon ki tarah) lambi karo aur khutba(aam khutbon ki tarah) chota karo”

(Muslim al Jumu’a 969)

2- NABI(SAWS)khutba e Jumu’a me surah qaaf ki tilawat farmate they

(Muslim al Jumu’a 872-873)

3- Hazrath Abu Hurairah ra riwayat karte hain ki Aap (SAWS) nefarmaya:- Jumu’a ke khutbe me jab tu apne paas baithne waalo(nasihat ke taur par) kahe “chup raho” to beshak Beshak tune bhi bekaar kaam kiya”

(Bukhari al Jumu’a 934, Muslim al Jumu’a 851)

isse saabit huwa ki dauraan e khutba(logon ko Aapas me) kisi qism ki baat karni jayez nahi hai, badi khamoshi se khutba sunna chahiye,(albatta imam aur muqtadi zarurat ke waqt ek dusre se mukhaatib ho sakte hain)

4- Hazrath ibne Umar ra kahte hain ki Aap (SAWS) neisse mana farmaya hai ki aadmi apne bhai ko uthakar uski jagah par baithe, nafi se pucha gaya ki sirf Jumu’a me mana hai? Farmane lage Jumu’a me aur uske elawa bhi”

(Bukhari al Jumu’a 911,6269, 6270)

5- Hazrath Ammara bin Raweba ra se riwayat hai ki unhone bashir bin marwan ko Jumu’a ke din mimber par dono haath uthate hue dekha, to farmaya:- allah taala in dono haathon ko halaak kare, NABI(SAWS) khutba me sirf ek haath ki shahadat waali ungali se ishaara karte they”

(Muslim al Jumu’a 874, Abu Dawoodal Jumu’a 1104)

6-NABI(SAWS)ne khade hokar khutba diya aur Aapke haath me asa ya kamaan thi
(Abu Dawoodal Jumu’a 1096, imam ibne khuzaima ne sahi kaha hai)
NABI akram(SAWS)do khutbe dete aur unke beech baithte they


(Bukhari 928)

More Islamic Info Click Here 

No comments:

Post a Comment