Thursday, April 2, 2015

Jumu’a Ki Farziyat,

Bahtareen Din:

” Bahtareen din, jis par suraj nikal(rise) kar chamke, Jumu’a ka din hai, isi din Hazrath adam (as) paida hue, isi din jannat me daakhil kiye gaye, isi din jannat se(zameen par) utaare gaye aur qayamat bhi Jumu’a ke din qayam hogi”
( Muslim, alJumu’a, baab youmul Jumu’a 854)

Kindly Click Here For Educational Videos


Jumu’a Ki Farziyat:

Irshaad bari taala hai:

” aiy iman walon! Jab Jumu’a ke din namaz(Jumu’a) ke liye azaan di jaaye to allah ke zikr(khutba aur namaz) ki taraf daudo aur (us waqt) kaarobaar chhod do, agar tum samjho to yah tumhare haq me bahut bahtar hai”(surah Jumu’a)
Hazrath abu jaad jamri ra se riwayat hai ki Aap (SAWS) nefarmaya:-” jo shakhs susti ki wajah se 3 Jumu’a chhod den to allah taala uske dil par muhar laga deta hai”
(Abu Dawoodabwabul Jumu’a 1052, Tirmizi 499,)
Aap (SAWS) nefarmaya:-” log Jumu’a chhodne se baaz aa jaayen warna allah taala unke dilon par muhar laga dega phir We ghaafil ho jaayenge”
(Muslim al Jumu’a 865)
Hazrath ibne masud ra se riwayat hai ki Aap (SAWS) neun logon ke gharon ko jo( susti ki wajah se) Jumu’a se peeche rah jaate hain, jala dene ka iraada kiya”
(Muslim, al masjidon 652)
Malum huwa ki Jumu’a ka chhodna bahut bada gunah hai, is par kadi warning hai, isliye har musalman par Jumu’a padhna farz hai, isme bilkul bhi susti nahi karni chahiye, jab khateeb mimber par chade , aur azaan ho jaaye to saare kaarobaar haraam ho jaate hain

More Islamic Info Click Here 

No comments:

Post a Comment