Hazrath
abu hurairah ra kahte hai ki Aap (SAWS)ne farmaya:- ” farishte Jumu’a ke din
masjid ke darwaze par (sawaab likhne ke liye) thaharte hain aur sabse pahle
aane waale ka naam likh lete hain phir uske baad aane waala ka(consecutively
likhte jaate hain), jo shakhs namaz e Jumu’a ke liye awwal waqt me masjid me
aata hai uska utna sawaab milta hai jina makka me qurbani ke liye oont bhejne
waale ko sawaab milta hai, phir jo baad me aata hai usko utna sawaab milta hai
jitna makka me qurbani ke liye gaaye(cow) bhejne waale ko milta hai, iske baad
aane waalo ko dumba bhejne waale ke barabar, uske baad aane waale ko murgi aur
uske baad aane waale ko anda(egg) sadqa karne waale ki tarah ajar milta hai,
phir jab imam, khutba dene ke liye nikalta hai to farishte daftar(register)
lapet lete hain aur khutba sunne lagte hain”
(Bukhari,
al Jumu’a 929,3211, Muslim 850)
Aap
(SAWS) nefarmaya:- Jumu’a ke din ek aisi ghadi(waqt) hai ki jo musalman us
ghadi me allah taala se bhalaayi ka sawaal kare to allah taala usko qubool
karta hai”
Zohar Ki
Bid’at:
Kuch log namaz e Jumu’a ke elawa ” Zohar ehtiyaati” padhte
aur uska Fatwa bhi dete hain, jabki Aap(SAWS)ki zaat paak aur Aapke anginat
sahaba kiram ra se Jumu’a ke baad namaz Zohar ka padhna kahin saabit nahi, ham
hairaan hain ki namaz e Jumu’a ada kar lene ke baad (ehtiyaati) Zohar ke farz
padhne waale aur padhne ka huqm dene waale allah taala ko kya jawab denge.
Maaz’allah kya Aap(SAWS)Jumu’a ke baad Zohar padhna aur logon ko batana bhool
gaye they jo baad me aane waale logon ne ijaad karke takmeele deen ki hai?
Ahtiyaati padhne waalon allah se daro, aur rasoollullah(SAWS)se aage na badho, NABI
akram(SAWS)ki aawaaz se apni aawaaz unchi na karo.
Sirf Jumu’a
Ke Din Roza Rakhna:
NABI(SAWS)ne Jumu’a ka din roza ke liye aur Jumu’a ki
raat(jumeraat aur Jumu’a ki beech ki raat) ko ibadat ke liye khaas karne se
mana farmaya.
(Muslim al siyaam 144)
Jumu’a Ka Din Aur Durood Shareef Ki Zyadati
“Aap(swas) ne farmaya:- Jumu’a ke din mujh par kasrat se
durood bhejo tumhara durood mujhe pahunchaaya jaata hai”
(Abu Dawoodal Jumu’a 1047, imam haakim aur zahbi ne ise
sahih kaha hai)
Jumu’a Ki
Azaan:
Hazrath sayeeb bin yazid ra se riwayat hai ki Aap(sws), Hazrath
abu bakr aur Hazrath umar ra ke daur me Jumu’a ki azaan us waqt hoti thi jab
imam, khutba ke liye mimber par baithta, jab Hazrath usman ra khalifa bane aur
log zyada ho gaye to zora(jagah) par ek aur azaan di jaane lagi, imam Bukhari
rh farmate hain: jora madeena ke bazaar me ek maqaam hai”
(Bukhari al Jumu’a 912,913,915,916)
masjid ke andar imam ke khutbe se pahle sirf ek azaan hai,
zyadatar masjidon me usse pahle di jaane waali azaan ka suboot Hazrath usman ke
daur se bhi nahi hai, isliye isse bachna chahiye
NOTE:
Jumu’a ke din pahli azaan ki daleel yah hai ki nabwi daur me madina munawwara
aur uski aabadi ki bheed kuch kam thi, logon ko aasaani se ilm ho Jaata tha,
usmani daur me jab aabaadi zyada ho gayi to tamaam log azaan sun nahi paate
they jiska laazmi nateeja yah nikla ki badhti mashroofiyat ka shikaar, kai log
masjid me waqt rahte pahunchane se majboor ho gaye uska intezaami hal yah nikala
gaya ki pahle masjid se bahar bazaar ke andar, zora ke maqaam par azaam di
jaati, uske kuch hi der baad masjid nabawi me dusri azaan ho jaati, Hazrath
usman ra ka yah kaam bid’at nahi hai kyonki Hazrath usman ra khulefa e
rashideen me se hain, unke daur me madina munawwara me jab pahli baar azaan ki
zarurat mahsus ki gayi to unhone use sharai huqm ke taur par nahi, balki sirf
maujood waqt ke hal ke taur par jaari kiya tha jise baaqi sahaba kiraam ra ki
umoomi ijma ho jaaye wah bidat nahi huwa karti
More Islamic Info Click Here
More Islamic Info Click Here
No comments:
Post a Comment