Monday, January 30, 2017

Great Saying Of Allama Iqbal

Mannat Kyun Maangte Ho Auron Ke Darbar Se,,,

Aisa Kaunsa Kaam Hai Jo Hota Nahi Tere Parwardigar Se!

"Guzar Gayi Namaz-E-Fajr

Aur Tu Sota Raha...

Qeemti Waqt Ko Khawaboun Me Khota Raha.....

Subha Namodaar Hui Par

Tu Bedaar Na Hua...

Umar Bhar So Ker Bhi Tu

Bezaar Na Hua.....

Aayi Zohar Toh Tujhe Kaam

Ne Uljha Diya....

Be Namaazi Bana Kar Kitna

Tujhe Phansa Diya.......

Milega Rizq Tujhe Namaz Ke Baad Bhi.....

Palega Tera Ghar Namaz Ke Baad Bhi......

Dekh Aagayi Namaz-E-Asar

Tawaani lekar......

Quwwat Hai is Me Tu isse Adaa Kar....

Tandrust Hai Aaj Tu Yeh Shukr Ada Kar......

Badan Ko Apne Sajdoun Ki Lazzat Diya Kar.......

Chal Diya Aftab Ab Ghuroob Hone Ko.....

Namaz-E-Maghrib Hai Ab Shuru Hone Ko....

Khatam Ho Gaya Teri Zindagi Ka Ek Aur Din......

Chala Gaya Yeh Bhi Haath Se Tere Neikiyoun Bin.....

Ab Tujhe Chahiye Raahat Sone Se Pehle.....

Isha Padh Le Apni Zindagi Khone Se Pehle.....

Payega Sukoon Tu ALLAH Ke Zikr Me Hi....

Milega Qaraar Tere Dil Ko issi Fikr Me Hi......

Allah Humein pakka aur sachcha Namazi banaye -Aameen..

No comments:

Post a Comment