Friday, April 3, 2015

Jumu’a Me Pahle Aane Walon Ko Sawaab, Zohar Ki Bid’at, Sirf Jumu’a Ke Din Roza Rakhna, Jumu’a Ki Azaan:

Hazrath abu hurairah ra kahte hai ki Aap (SAWS)ne farmaya:- ” farishte Jumu’a ke din masjid ke darwaze par (sawaab likhne ke liye) thaharte hain aur sabse pahle aane waale ka naam likh lete hain phir uske baad aane waala ka(consecutively likhte jaate hain), jo shakhs namaz e Jumu’a ke liye awwal waqt me masjid me aata hai uska utna sawaab milta hai jina makka me qurbani ke liye oont bhejne waale ko sawaab milta hai, phir jo baad me aata hai usko utna sawaab milta hai jitna makka me qurbani ke liye gaaye(cow) bhejne waale ko milta hai, iske baad aane waalo ko dumba bhejne waale ke barabar, uske baad aane waale ko murgi aur uske baad aane waale ko anda(egg) sadqa karne waale ki tarah ajar milta hai, phir jab imam, khutba dene ke liye nikalta hai to farishte daftar(register) lapet lete hain aur khutba sunne lagte hain”

(Bukhari, al Jumu’a 929,3211, Muslim 850)

Aap (SAWS) nefarmaya:- Jumu’a ke din ek aisi ghadi(waqt) hai ki jo musalman us ghadi me allah taala se bhalaayi ka sawaal kare to allah taala usko qubool karta hai”

(Bukhari al Jumu’a 935, Muslim 852)

Kindly Click Here For More Educational Videos

Zohar Ki Bid’at:

Kuch log namaz e Jumu’a ke elawa ” Zohar ehtiyaati” padhte aur uska Fatwa bhi dete hain, jabki Aap(SAWS)ki zaat paak aur Aapke anginat sahaba kiram ra se Jumu’a ke baad namaz Zohar ka padhna kahin saabit nahi, ham hairaan hain ki namaz e Jumu’a ada kar lene ke baad (ehtiyaati) Zohar ke farz padhne waale aur padhne ka huqm dene waale allah taala ko kya jawab denge. Maaz’allah kya Aap(SAWS)Jumu’a ke baad Zohar padhna aur logon ko batana bhool gaye they jo baad me aane waale logon ne ijaad karke takmeele deen ki hai? Ahtiyaati padhne waalon allah se daro, aur rasoollullah(SAWS)se aage na badho, NABI akram(SAWS)ki aawaaz se apni aawaaz unchi na karo.

Sirf Jumu’a Ke Din Roza Rakhna:

NABI(SAWS)ne Jumu’a ka din roza ke liye aur Jumu’a ki raat(jumeraat aur Jumu’a ki beech ki raat) ko ibadat ke liye khaas karne se mana farmaya.
(Muslim al siyaam 144)

Jumu’a Ka Din Aur Durood Shareef Ki Zyadati
“Aap(swas) ne farmaya:- Jumu’a ke din mujh par kasrat se durood bhejo tumhara durood mujhe pahunchaaya jaata hai”

(Abu Dawoodal Jumu’a 1047, imam haakim aur zahbi ne ise sahih kaha hai)

Jumu’a Ki Azaan:

Hazrath sayeeb bin yazid ra se riwayat hai ki Aap(sws), Hazrath abu bakr aur Hazrath umar ra ke daur me Jumu’a ki azaan us waqt hoti thi jab imam, khutba ke liye mimber par baithta, jab Hazrath usman ra khalifa bane aur log zyada ho gaye to zora(jagah) par ek aur azaan di jaane lagi, imam Bukhari rh farmate hain: jora madeena ke bazaar me ek maqaam hai”

(Bukhari al Jumu’a 912,913,915,916)

masjid ke andar imam ke khutbe se pahle sirf ek azaan hai, zyadatar masjidon me usse pahle di jaane waali azaan ka suboot Hazrath usman ke daur se bhi nahi hai, isliye isse bachna chahiye

NOTE: Jumu’a ke din pahli azaan ki daleel yah hai ki nabwi daur me madina munawwara aur uski aabadi ki bheed kuch kam thi, logon ko aasaani se ilm ho Jaata tha, usmani daur me jab aabaadi zyada ho gayi to tamaam log azaan sun nahi paate they jiska laazmi nateeja yah nikla ki badhti mashroofiyat ka shikaar, kai log masjid me waqt rahte pahunchane se majboor ho gaye uska intezaami hal yah nikala gaya ki pahle masjid se bahar bazaar ke andar, zora ke maqaam par azaam di jaati, uske kuch hi der baad masjid nabawi me dusri azaan ho jaati, Hazrath usman ra ka yah kaam bid’at nahi hai kyonki Hazrath usman ra khulefa e rashideen me se hain, unke daur me madina munawwara me jab pahli baar azaan ki zarurat mahsus ki gayi to unhone use sharai huqm ke taur par nahi, balki sirf maujood waqt ke hal ke taur par jaari kiya tha jise baaqi sahaba kiraam ra ki umoomi ijma ho jaaye wah bidat nahi huwa karti

More Islamic Info Click Here 

No comments:

Post a Comment